wo bahte dariya ki be-karani se dar raha tha shadid pyasa tha aur pani se dar raha tha nazar nazar ki yaqin-pasandi pe khush thi lekin badan badan ki guman-risani se dar raha tha sabhi ko nind aa chuki thi yun to pari se mil kar magar wo ek tifl jo kahani se dar raha tha larazte honton se gir pade the huruf ek din dil apne jazbon ki tarjumani se dar raha tha lughat-e-jaan se kashid karte hue sukhan ko main ek harf-e-ghalat maani se dar raha tha jama hua khun hai ragon mein na jaane kab se ruka hua khwab hai rawani se dar raha tha wo be-nishan hai jise nishan ki hawas thi 'azar' wo raegan hai jo raegani se dar raha tha