ye ujala har ek shai ko chamka gaya aaina dil ka kuchh aur dhundla gaya aaj maghmum hai wo sar-e-aina zulf uljhi to mera khayal aa gaya apni barbaadiyon ka mujhe gham nahin gham ye hai kis tarah tujh se dekha gaya itni fursat kahan thi ki hum sochte ishq mein kya hua, kya mila, kya gaya lut gaya johd-e-hasti mein ehsas bhi zindagi ke liye hae kya kya gaya jis ke honton ke daman mein kuchh bhi na tha jab utha bazm se git barsa gaya