wo ban kar be-zaban lene ko baithe hain zaban mujh se ki khud kahte nahin kuchh aur kahlawate hain han mujh se bahut kuchh husn-e-zan rakhta hai mera mehrban mujh se ki tohmat dhar ke hai khwahan-e-taid-e-bayan mujh se kisi gul ki qaba milti nahin tahriq se khali junun ne le ke banti hain ye kitni dhajjiyan mujh se pila saqi ki rah jae khumar-e-kaif ka parda bas ab ruktin nahin aati hui angdaiyan mujh se jo gul ko gul na samjhoge to kanton hi mein uljhoge na do apne ko dhoka aap ho kar bad-guman mujh se bahut jaldi na kar ai chashm-e-tar kuchh der ko dam le bayan karna wo tu rah jae jitni dastan mujh se misal-e-shama apni aag mein kya aap jal jaun qisas-e-khamushi legi kahan tak ai zaban mujh se huin ta-der pahchani hui aawaz mein baaten wo kuchh kuchh khul chale hain rakh ke parda darmiyan mujh se tasawwur ki nazar pardon ke roke ruk nahin sakti bata o jaane wale chhup ke jaega kahan mujh se agar ai 'arzu' har sans dil ki aah ban jae na hogi khatm phir bhi meri lambi dastan mujh se