dair-o-haram se guzre ab dil hai ghar hamara hai khatm us aable par sair-o-safar hamara palkon se teri hum ko kya chashm-dasht ye thi un barchhiyon ne banta baham jigar hamara duniya-o-din ki jaanib mailan ho to kahiye kya jaaniye ki is bin dil hai kidhar hamara hain tere aaine ki timsal hum na puchho is dasht mein nahin hai paida asar hamara jon subh ab kahan hai tul-e-sukhan ki fursat qissa hi koi dam ko hai mukhtasar hamara kuche mein us ke ja kar banta nahin phir aana khun ek din girega us khak par hamara hai tira-roz apna ladkon ki dosti se us din hi ko kahe tha aksar pidar hamara sailab har taraf se aaenge baadiye mein jon abr rote hoga jis dam guzar hamara nashw-o-numa hai apni jon gard-baad anokhi baalida khak rah se hai ye shajar hamara yun dur se khade ho kya mo'atabar hai rona daman se bandh daman ai abr-e-tar hamara jab pas raat rahna aata hai yaad us ka thamta nahin hai rona do dopahar hamara us karwan-sara mein kya 'mir' bar kholen yan kuch lag raha hai sham-o-sahar hamara