wo ban-sanwar ke sar-e-sham jab nikalte hain

wo ban-sanwar ke sar-e-sham jab nikalte hain
nazar nazar mein hazaron charagh jalte hain

wo apni aag mein roz-e-azal se jalte hain
ye faisle hain muqaddar ke kab badalte hain

tum apne gosha-e-daman ko phir qarib karo
hamare ashk-e-rawan motiyon mein dhalte hain

wahi to laeq-e-azmat hain bazm-e-hasti mein
jo log girte hain gir gir ke phir sanbhalte hain

wo hum se tark-e-talluq bhi kar chuke lekin
na jaane aaj bhi kyon log hum se jalte hain

pata bahaar ki aamad ka aise chalta hai
qafas ki aa ke wo jab tiliyan badalte hain

gham-e-firaq ho 'hairat' ki gardish-e-dauran
na jaane kab se mere sath sath chalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close