hum KHushi pa ke gham ko bhul gae

hum khushi pa ke gham ko bhul gae
farq-e-sahba-o-sam ko bhul gae

jab hue aashna-e-lazzat-e-gham
talkhi-e-zahr-e-gham ko bhul gae

un ke lutf-o-karam ke mare hue
un ke jaur-o-sitam ko bhul gae

chashm-e-saqi se jab nigah mili
baada-kash jam-e-jam ko bhul gae

phir koi aur kijiyega sitam
dekhiye log hum ko bhul gae

hum sitam-kosh ban gae to wo
apne tarz-e-sitam ko bhul gae

ras aai hai kab khushi un ko
jo khushi pa ke gham ko bhul gae

aise milte hain ajnabi ki tarah
jaise sach-much wo hum ko bhul gae

un ka dar mil gaya to ai 'hairat'
hum bhi dair-o-haram ko bhul gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close