wo barq-e-jalwa dikhae jamal agar apna

wo barq-e-jalwa dikhae jamal agar apna
to ai kalim karen hum nisar sar apna

wo zat-e-pak kahan ye nigar-e-khak kahan
jo dekhe us ko zara dekhe munh bashar apna

kahin khizan hi bana wo kahin bahaar bana
gharaz har ek chaman mein kiya guzar apna

basa hai meri hi aankhon mein kuchh nahin wo shokh
dilon mein sab ke banaya hai us ne ghar apna

harim-kaba mein but-khana mein kalisa mein
banae qibla tumhein sahib-e-nazar apna

maqam-e-ibrat-o-hasrat sara-e-fani hai
bana liya hai jise ghafilon ne ghar apna

guhar na samjho in ashkon ko hain ye lal-e-saped
dikha rahi hai ye eajaz chashm-e-tar apna

samajh ke aib karenge husud mujh par tan
yahi hai soch dikhaun kise hunar apna

fana ki rah mein wo garm-rau hun ai 'ajiz'
ki saya bhi nahin wallah ham-safar apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close