wah kya KHub mah-laqa dekha

wah kya khub mah-laqa dekha
jalwa us ka har ek ja dekha

wo ayan tha to shai nahin dekha
jab hui shai ayan to kya dekha

wahdat-e-sarf aai kasrat mein
parda us par pada hua dekha

dair mein hai na wo haram mein hai
lekin us ko har ek ja dekha

sar kaha jis ne sar gaya us ka
aarifon ne ye aazma dekha

bahr kuze mein kab samata hai
aql ka tang hausla dekha

did hai jis ki ain binai
nahin dekha use to kya dekha

ibn-e-mariyam se bhi to kuchh na hua
dard-e-dil hae la-dawa dekha

baadshahi mein wo kahan hasil
faqr mein hum ne jo maza dekha

bulbul-e-khush-nawa ko ai 'ajiz'
gul-o-gulzar se juda dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close