wo be-asar tha musalsal dalil karte hue main mutmain tha ghazal ko wakil karte hue wo mere zakhm ko nasur kar gae aakhir main pur-umid tha jin se appeal karte hue ajib khwab tha aankhon mein khun chhod gaya ki nind guzri hai mujh ko zalil karte hue sabab hai kya ki main sairab hun sar-e-sahra juda hua tha wo aankhon ko jhil karte hue mara hua main wo kirdar hun kahani ka jo ji raha hai kahani tawil karte hue