wo be-khud-e-shabab wo simin-badan kahan main gham-nasib kushta-e-ranj-o-mehan kahan dil mein kisi ki yaad ne phir li hain chutkiyan aankhon mein chhup gaya hai wo ghuncha-dahan kahan duniya-e-rang-o-bu mein usi ka tha ehtimam wo gul-badan nahin to bahaar-e-chaman kahan aaram aa chuka hai dil-e-be-qarar ko agli si wo khalish wo kasak wo chubhan kahan fikr-e-maash ne hamein sab kuchh bhula diya ab wo bisat-e-aish wo bazm-e-sukhan kahan marte hain ab bhi baada-o-shahid ke nam par ahl-e-watan mein jazba-e-hubb-e-watan kahan sara jahan apna watan ab to hai 'bahaar' kyon mujh se puchhiye ki hai mera watan kahan