samne se jab guzar jate hain aap

samne se jab guzar jate hain aap
hum pe ek jadu sa kar jate hain aap

barhami se to nikhar jate hain aap
aur bhi dil mein utar jate hain aap

hum pe jo guzre wo ginti mein nahin
be-niyazi se guzar jate hain aap

dekhiye suniye zara ruk jaiye
chhod kar hum ko kidhar jate hain aap

dard-e-dil ka kuchh to darman kijiye
dard hai dil mein magar jate hain aap

dil-nawazi aap ki fitrat nahin
kis liye dil tod kar jate hain aap

kis qadar viran hai duniya-e-dil
aah is se be-khabar jate hain aap

hum bhi hain chashm-e-karam ke muntazir
kyon nigahen pher kar jate hain aap

chalte chalte kis par aa jata hai rahm
jate jate kyon thahar jate hain aap

log jo kahte hain wo kahte rahen
kyon kisi ki baat par jate hain aap

ishq to hai raunaq-e-bazm-e-hayat
ishq se kyon itna dar jate hain aap

ye muqaddar ka karam hai ai 'bahaar'
chah se pyase agar jate hain aap


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close