wo be-parda warid hua chahta hai

wo be-parda warid hua chahta hai
sar-e-anjuman hashr utha chahta hai

na mahrum saqi rahe saghar-e-dil
sharab-e-haqiqat-numa chahta hai

nahin uzr-e-taqsir is dil ko koi
magar haq-ba-jaanib saza chahta hai

giri barq sehn-e-gulistan mein lekin
mera aashiyan bhi jala chahta hai

talash-o-talab mein jo sargarm dil tha
wo apna hi khud ab pata chahta hai

ye hum ne zamane mein dekha hai aksar
bura hai wahi jo bhala chahta hai

kami hai tadapne ki lazzat mein ab tak
dil-e-dard is se siwa chahta hai

mariz-e-tamanna mohabbat ki rogi
koi dam mein rukhsat hua chahta hai

gareban tasadduq hai josh-e-junun par
koi ab tamasha bana chahta hai

gunahgar-e-ulfat saza ki kami par
kisi se hisab-e-khafa chahta hai

mohabbat mein sab kuchh kisi ne lutaya
na malum ab koi kya chahta hai

'ziya' ishq mein ab khuda us se samjhe
jo mujh ko phansa kar bacha chahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close