sukun nasib na ho dur iztirab na ho

sukun nasib na ho dur iztirab na ho
wo dard de mujhe jis ka koi jawab na ho

husul-e-hasil-e-ulfat mein yun kharab na ho
fuzul dil kahin wabasta-e-azab na ho

sharab-e-nab ki har mauj par mujhe shak hai
kisi hasin ka machalta hua shabab na ho

utha ba-shauq qadam tishna-kaam-e-wadi-e-ishq
teri nigah ka hasil kahin sarab na ho

kisi ke tir-e-nazar dil mein is ada se chubhen
ki zakhm gahre paden dil mein iztirab na ho

ye dil-farebi-e-har-barg-e-gul are tauba
jamal-e-naz ki bikhri hui kitab na ho

jawab-e-arz-e-tamanna se dil raha mahrum
wo kya sawal jo sharminda-e-jawab na ho

jamal-e-tur jise kah rahe hain ahl-e-jamal
kahin wo husn ka ek partaw-e-naqab na ho

wafa ka shisha-e-dil bhi hai kitna nazuk sa
ajab hunar hai ki is ka koi jawab na ho

jahan-e-dil ka jo zarra hai wo munawwar hai
wo dagh-e-dil nahin jo rashk-e-aftab na ho

mizaj-e-husn haqiqat mein ek qayamat hai
kisi ke shauq mein insan koi kharab na ho

nigah-e-shauq 'ziya' hum use na manenge
jo bargah-e-tajalli mein baryab na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close