wo be-ruKHi ki taghaful ki intiha kahiye

wo be-rukhi ki taghaful ki intiha kahiye
ba-in-hama use kis dil se be-wafa kahiye

gham-e-hayat o gham-e-kaenat se hat kar
kisi ki qamat o gesu ka majra kahiye

wo munfail ho ki ho mushtail bala se magar
kabhi to haal-e-dil-e-zar-e-barmala kahiye

bataiye kaf-e-mahbub dast-e-qatil ko
lahu ke dagh ko gul-kari-e-hina kahiye

adab ka hai ye taqaza ki us ki mahfil mein
sukut-e-naz ko bhi naghma o sada kahiye

hum apne daur mein jis bankpan se zinda hain
use hum ahl-e-mohabbat ka hausla kahiye

'surur' hazrat-e-ghaalib ke rang mein bhi kabhi
hikayat-e-karam-e-chashm-e-surma-sa kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close