yahi nahin ki mera dil hi mere bas mein na tha

yahi nahin ki mera dil hi mere bas mein na tha
jo tu mila to mein khud apni dastaras mein na tha

ba-nam-e-ahd-e-rifaqat bhi ham-qadam na hua
ye hausla mere masum ham-nafas mein na tha

ajib sehr ka aalam tha us ki qurbat mein
wo mere pas tha aur meri dastaras mein na tha

na jaane qafila-e-ahl-e-dil pe kya guzri
ye iztirab kabhi nala-e-jaras mein na tha

khabar to hogi tujhe tere jaan-nisaron mein
koi to tha sar-e-maqtal jo pesh-o-pas mein na tha

'surur' apne chaman ki faza hai kya kahiye
sukut ka to wo aalam hai jo qafas mein na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close