wo bekali nahin dil ko wo iztirab nahin tumhaare hijr ka ab kuchh mujhe itab nahin jala-bhuna hun mujhe khwahish-e-kabab nahin pila de dho ke subu hi agar sharab nahin suna hai hum ne ki aariz pe hai ghubar sa kuchh bala se khat ka hamare agar jawab nahin teri khabar ke liye dekhte hain sab akhbar mutalea mein kisi ke koi kitab nahin rasida bud bulae wale ba-khair guzasht tumhaari zulf se khatir ko pech-o-tab nahin pilana taul ke baada-e-mughan khuda ke liye ye din sharaf ke hain mizan mein aaftab nahin farar kyun na ho har roz jaan-nisar ek ek huzur aap ki wo daulat-e-shabab nahin tumhaare zulf ki taswir kya kare sairab khata muaf ho hum tishna-e-sarab nahin 'nasim' pi gae ab mai-kadon mein hai kya khak dawa ke waste london mein bhi sharab nahin