wo bezar mujh se hua zar main hun wo mai-khwar ghairon mein hai khwar main hun nahin ishq se zard zardar main hun agar hai wo yusuf kharidar main hun tamanna hai saqi kabhi bazm-e-mai mein wo sarshaar ho aur hushyar main hun hui jama be-dardi-e-dardmandi dil-azar wo hai sitamgar main hun wo karta hai baaten main karta hun aahen guhar-bar wo hai sharar-bar main hun wahi bolta hai jo main bolta hun agar wo hai bulbul to minqar main hun digar-gun hai har aan waz-e-mohabbat kabhi ghair main hun kabhi yar main hun kaha hazrat-e-'dard' ne khub 'nasikh' ye zulf-e-butan ka giraftar main hun