safar kathin hi sahi kya ajab tha sath us ka andheri raat mein mera diya tha hath us ka kuchh aisi nind se jagi ki phir na soi wo aankh jala kiya yunhi kajal tamam raat us ka tamam shab wo sitaron se guftugu us ki tamam shab wo samundar sa iltifat us ka kabhi wo rabt ki aankhon mein jis tarah kajal kabhi bichhad ke wo milna ghazal-sifat us ka dua ke hath hi jaise diya sambhaalte hain mohabbaton mein wo uslub-e-ehtiyat us ka main apne ghar ke andheron mein laut aaya 'shauq' pukarta hi raha mujh ko shahr-e-zat us ka