wo budha ek khwab hai aur ek khwab mein aata rahta hai is ke sar par an-dekha panchhi mandlata rahta hai natak ke kirdaron mein kuchh sachche hain kuchh jhute hain parde ke pichhe koi un ko samjhata rahta hai basti mein jab chaak-gareban girya karte phirte hain is mausam mein ek rafu-gar hansta gata rahta hai har kirdar ke pichhe pichhe chal deta hai qissa-go yunhi baithe baithe apna kaam badhata rahta hai is din bhi jab basti mein talwaren kam pad jati hain ek mudabbir aahan-gar zanjir banata rahta hai aawazon ki bhid mein ek khamosh musafir dhire se na-manus dhunon mein koi saz bajata rahta hai dekhne wali aankhen hain aur dekh nahin patin kuchh bhi is manzar mein jaane kya kuchh aata jata rahta hai is dariya ki tah mein 'adil' ek purani kashti hai ek girdab musalsal us ka bojh badhata rahta hai