wo chaal atkheliyon se chal kar dil o jigar raunde dalte hain abhi jawani ka hai jo aalam na dekhte hain na bhaalte hain chala hai pahlu se yar uth kar gham-e-judai ko talte hain kabhi to hum dil ko thamte hain kabhi jigar ko sambhaalte hain kabhi na jin ko lagaya tha munh gale mein bahen wo dalte hain jo mangta hun main ek bosa to aap aankhen nikalte hain agar yahi hai talawwun un ka khuda hi hai wada ho jo pura kaha tha kal aaj wasl hoga wo aaj phir kal pe talte hain na qahr raftar-e-naz dhae lachak na waqt-e-khiram aae khuda hi nazuk kamar bachae ki paenche wo sambhaalte hain na jaan-ba-lab kyun mariz-e-gham ho pae-ayaadat na aae dekho masih kahte hain log jin ko wo jaan kar mar dalte hain kabhi ye kahte hain dard-e-sar hai kabhi ye kahte hain ab sahar hai sitam ye mushtaq-e-wasl par hai hazaron hile nikalte hain nikalun arman kyun na ji ke ki mast hon jam-e-ishq pi ke main sadqe is apni be-khudi ke ki daud kar wo sambhaalte hain kasi ke 'anjum' jo hain sikhae to hain naya rang aaj lae ki chupke baithe hain sar jhukae na bolte hain na chaalte hain