ye daur-e-kam-nazaran hai to phir sila kaisa

ye daur-e-kam-nazaran hai to phir sila kaisa
ye apna ahd hai is ahd ka gila kaisa

bahut dinon se nahin mujh ko iztirab-e-ghazal
ruka hua hai khayalon ka qafila kaisa

kahan ye sham kahan mere aashna chehre
simat raha hai tasawwur mein fasla kaisa

kahan ye raat kahan teri bu-e-pairahan
chala tha aaj khayalon ka silsila kaisa

kai charagh kai suraten kai sae
guzar raha hai na jaane ye qafila kaisa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close