wo chand hai to aks bhi pani mein aaega kirdar khud ubhar ke kahani mein aaega chadhte hi dhup shahr ke khul jaenge kiwad jismon ka rahguzar rawani mein aaega aaina hath mein hai to suraj pe aks dal kuchh lutf bhi suragh-rasai mein aaega rakht-e-safar bhi hoga mere sath shahr mein sahra bhi shauq-e-naql-e-makani mein aaega phir aaega wo mujh se bichhadne ke waste bachpan ka daur phir se jawani mein aaega kab tak lahu ke habs se garmaega badan kab tak ubaal aag se pani mein aaega surat to bhul baitha hun aawaz yaad hai ek umr aur zehn girani mein aaega 'sajid' tu apne nam ka katba uthae phir ye lafz kab libas-e-maani mein aaega