khuli hai aankh josh-e-intizar-e-yar-e-jaani hai ba-mushkil dida-e-zanjir khwab-e-pasbani hai labon par aa chuka dam koi dam ki zindagani hai chal uth o bewafa pahlu se ab kyun mehrbani hai laga dun aag uf karne mein wo shoala-zabani hai ba-shakl-e-shama sare jism mein soz-e-nihani hai kalam-e-hazrat-e-waiz nasib-e-dushmanan bashad undelo mai piyo saghar kahan phir naujawani hai umangen hain tabiat mein bhari hain mastiyan dil mein hui jati hain aankhen band kaif-e-naujawani hai azab-e-ghaflat-e-qatil se ranj-e-kash-makash mein hun madad ai marg-e-be-taqsir zauq-e-jaan-fishani hai khabar kya puchhta hai ham-nafas kyun kar guzarti hai jigar jalta hai dil bhunta hai ashkon ki rawani hai ada-o-naz-e-ima chashm-e-ghamza go wo koi ho talluq jis se ho jae bala-e-nagahani hai pasand aai hai is darja aziyyat dosti hum ko nazar mein dhup bhi dasht-e-musibat ke suhani hai khayal-e-mirzai ai 'nasim'-dehlawi kab tak jhuko buddhe hue ab rukhsat-e-lutf-e-jawani hai