wo chand jo chilman mein chhupa hai bhi nahin bhi

wo chand jo chilman mein chhupa hai bhi nahin bhi
kuchh us ne sitaron se kaha hai bhi nahin bhi

rah rah ke chamakte hain teri yaad ke jugnu
jaise ki andheron mein diya hai bhi nahin bhi

maqtul ne khud rakkhi thi shamshir pe gardan
bas is liye qatil ki khata hai bhi nahin bhi

deta hai jo mansur anal-haq ki sadaen
wo zat kabhi zat-e-khuda hai bhi nahin bhi

munh par to muafiq hai pas-e-pusht mukhalif
dushman jo mera hai wo saga hai bhi nahin bhi

ye nim-nazar nim-nigahi ka asar hai
jo tir-e-nazar dil mein chubha hai bhi nahin bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close