wo chandni mein jo tuk sair ko nikalte hain to mah ke tasht mein ghi ke charagh chalte hain pade hawas hi hawas mein hamesha galte hain hamare dekhiye arman kab nikalte hain hujum-e-ah hai aankhon se ashk dhalte hain bhare hain chaw jo dil mein so yun nikalte hain charagh-e-subh ye kahta hai aaftab ko dekh ye bazm tum ko mubarak ho hum to chalte hain ba-rang-e-ashk kabhi gir ke hum na sambhle aah yahi kaha kiye ji mein ki ab sambhalte hain nikalta hai hamein phir wo apne kuche se abhi to nikle nahin hain par ab nikalte hain fida jo dil se hai in shokh sabza rangon par ye zalim us ki hi chhati pe mung dalte hain hua nahif bhi yan tak ki hazrat-e-majnun ye mujh se kahte hain aur hath apne malte hain koi to pagdi badalta hai aur se lekin miyan 'nazir' hum ab tum se tan badalte hain