raat parde se zara munh jo kisu ka nikla shoala samjha tha use main pa bhabhuka nikla mahr o mah us ki phaban dekh ke hairan rahe jab waraq yar ki taswir-e-do-ru ka nikla ye ada dekh ke kitnon ka hua kaam tamam nimcha kal jo tuk us arbada-ju ka nikla mar gai sarw pe jab ho ke tasadduq qumri us se us dam bhi na tauq apne gulu ka nikla 'mushafi' hum to ye samjhe the ki hoga koi zakhm tere dil mein to bahut kaam rafu ka nikla