wo chandni wo chand sa paikar utar de pahlu mein koi khwab ka manzar utar de mahfuz ab nahin hain mere dil ki sarhaden kah do kisi ghanim se lashkar utar de kab se sharik hun main jihad-e-hayat mein bahr-e-najat koi mera sar utar de tute tera khayal to bistar ki har shikan aankhon mein jaise nind ke nashtar utar de dil se lagae kaun mera gham meri khushi har shakhs dil ka bojh samajh kar utar de jumbish jab us ke lab ko hui to pata chala chatke kali to ruh mein nashtar utar de kab se uthae phirta hun tanhaiyon ka bojh dil se koi ye dard ka patthar utar de ai 'badr' ashk-e-gham ke alawa koi to ho tira-shabi mein jo mah-o-akhtar utar de