yun bichhad jaunga tum se main ne ye socha na tha qurbaton mein faslon ka koi andaza na tha jaane pahchane hue chehre bhi sab the ajnabi kitna tanha tha wahan bhi main jahan tanha na tha apne dil ka zahr-e-gham aankhon se jo chhalka gaya wo samundar tha magar meri tarah gahra na tha zindagi hum bhi teri qadron ke waris the magar apni qismat mein faqat diwar thi saya na tha har taraf hai ab meri khamoshiyon ki bazgasht zindagi mein is se pahle itna sannata na tha ruthne wale meri chahat ka andaza to kar is qadar to main ne khud ko bhi kabhi chaha na tha zakhm bhi jis ne diye hain mujh ko ghairon ki tarah wo mera apna tha lekin mujh ko pahchana na tha pyar aakhir kyon na aata apne qatil par mujhe mere us ke darmiyan kya khun ka rishta na tha be-wafai ki shikayat thi mujhe us se magar us ki majburi ko jab tak 'badr' main samjha na tha