wo darudon ke salamon ke nagar yaad aae naten padhte hue qasbaat ke ghar yaad aae ghar ki masjid mein wo nurani azan se chehre in mashinon mein duaon ke shajar yaad aae sham ke baad kachahri ka thaka sannata be-gunahi ko adalat ke hunar yaad aae mere sine mein koi sans chubha karti hai jaise mazdur ko pardes mein ghar yaad aae kitne khat aae gae shakh pe phulon ki tarah aaj dariya mein charaghon ke safar yaad aae