wo mahakti palkon ki ot se koi tara chamka tha raat mein meri band mutthi na kholiye wahi koh-e-nur hai hat mein main tamam tare utha utha ke gharib logon mein bant dun kabhi ek raat wo aasman ka nizam den mere hat mein abhi sham tak mere bagh mein kahin koi phul khila na tha mujhe khushbuon mein basa gaya tera pyar ek hi raat mein tere sath itne bahut se din to palak jhapakte guzar gae hui sham khel hi khel mein gai raat baat hi baat mein koi ishq hai ki akela ret ki shawl odh ke chal diya kabhi baal-bachchon ke sath aa ye padaw lagta hai raat mein kabhi sat rangon ka phul hun kabhi dhup hun kabhi dhul hun main tamam kapde badal chuka tere mausamon ki baraat mein