wo dasht-e-tirgi hai ki koi sada na de saya bhi mere jism ka mujh ko pata na de na-agahi ki raat bhi kitni latif thi ye aagahi ki dhup hai chehra jala na de khwabon ka ek latif sa hai aks zehn par baad-e-sumum-e-waqt ise bhi mita na de chashm-e-ghazal jhil ka manzar hasin maut meri taraf na dekh mujhe ye saza na de dil se bhi us nigah ka jadu chhupa liya nadan hai sadgi mein kahin kuchh bata na de shaistagi ka jabr ki roya na ja saka chup-chap dil ki aag badan ko ghula na de ek pal ko bhi sukun na de zindagi 'shamim' aur bhagna bhi chahun to ye rasta na de