wo dekh kar na ruka aur guzar gae hum bhi dua-e-shab ki tarah be-asar gae hum bhi samaaton ke jazire talak rasai na thi wo be-khabar hi raha be-samar gae hum bhi yahi kahenge ki ek khauf tha bulandi ka kisi ke baam-e-nazar se utar gae hum bhi mila wo zor-e-tasawwur subuk-irada hue musibat aane se pahle hi dar gae hum bhi shanawari pe kahin harf hi na aa jae agar tarash ke dariya guzar gae hum bhi khuda bhi to kabhi yaksaniyat se uktae kamal kaun sa hoga jo mar gae hum bhi sada-e-khwab to the aise chur chur hue ghubar ban ke faza mein bikhar gae hum bhi