wo dekhne hamein tuk bimari mein na aaya sau bar aankhen kholin baalin se sar uthaya gulshan ke taeron ne kya be-murawwati ki yak barg-e-gul qafas mein hum tak na koi laya be-hech us ka ghussa yaro bala-e-jaan hai hargiz mana na hum se bahtera hi manaya qadd-e-buland agarche be-lutf bhi nahin hai sarw-e-chaman mein lekin andaza wo na paya naqsha ajab hai us ka naqqash ne azal ke matbu aisa chehra koi na phir banaya shab ko nashe mein baham thi guftugu-e-darham us mast ne jhankaya yani bahut jhukaya dil-bastagi mein khulna us ka na us se dekha bakht-e-nigun ko hum ne sau bar aazmaya aashiq jahan hua hai be-dhangiyan hi ki hain is 'mir'-e-be-khirad ne kab dhab se dil lagaya