wan wo to ghar se apne pi kar sharab nikla yan sharm se araq mein dub aaftab nikla aaya jo waqiye mein darpesh aalam-e-marg ye jagna hamara dekha to khwab nikla dekha jo os padte gulshan mein hum to aakhir gul ka wo ru-e-khandan chashm-e-pur-ab nikla parde hi mein chala ja khurshid to hai behtar ek hashr hai jo ghar se wo be-hijab nikla kuchh der hi lagi na dil ko to tir lagte us said-e-na-tawan ka kya ji shitab nikla har harf-e-gham ne mere majlis ke tain rulaya goya ghubar dil ka padhta kitab nikla ru-e-araq-fishan ko bas ponchh garm mat ho us gul mein kya rahega jis ka gulab nikla mutlaq na e'tina ki ahwal par hamare name ka name hi mein sab pech-o-tab nikla shan-e-taghaful apne nau-khat ki kya likhen hum qasid mua tab us ke munh se jawab nikla kis ki nigah ki gardish thi 'mir' ru-ba-masjid mehrab mein se zahid mast-o-kharab nikla