wo dil bhi jalate hain rakh dete hain marham bhi kya turfa tabiat hai shola bhi hain shabnam bhi khamosh na tha dil bhi khwabida na the hum bhi tanha to nahin guzra tanhai ka aalam bhi chhalka hai kahin shisha dhalka hai kahin aansu gulshan ki hawaon mein naghma bhi hai matam bhi har dil ko lubhata hai gham teri mohabbat ka teri hi tarah zalim dilkash hai tera gham bhi inkar-e-mohabbat ko tauhin samajhte hain izhaar-e-mohabbat par ho jate hain barham bhi tum ruk ke nahin milte hum jhuk ke nahin milte malum ye hota hai kuchh tum bhi ho kuchh hum bhi pai na 'shamim' apne saqi ki nazar yaksan har aan badalta hai mai-khane ka mausam bhi