wo ghadi wo rut gai wo din gae mausam gae sath ek jaan-e-wafa ke kitne hi aalam gae wo gae to aur phir koi na un sa mil saka wadi wadi hum phire purab gae pachchham gae aas tuti dil ki ya koi naya wada hua ai shab-e-gham kya hua kyun mere aansu tham gae ek hum jo tujh se chhut kar bhi tere dar ke rahe ek wo jo bazm mein rah kar bhi na-mahram gae aaj se khush rah ke bhi dekhenge tere gham-nasib teri marzi hai to le aahen gain matam gae