wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi shayad ab un ko mujh se mohabbat nahin rahi ghabra raha hun kyon ye gham-e-narawa se ab kya mujh mein gham ke sahne ki taqat nahin rahi tum kya badal gae ki zamana badal gaya taskin-e-dil ki ab koi surat nahin rahi jine ko ji rahe hain tumhaare baghair bhi is tarah jaise jine ki hasrat nahin rahi shayad koi hasin idhar se guzar gaya wo dard-e-dil ki pahli si haalat nahin rahi jage ho raat mahfil-e-aghyar mein zarur aankhon mein ab wo kufr ki zulmat nahin rahi jab kar diya khizan ne wo rangin chaman tabah wo husn ab kahan wo malahat nahin rahi zahid mein hai na zohd na rindon mein mai-kashi phulon mein husn ghunchon mein rangat nahin rahi han ai 'hayat' hum ne zamane ke dukh sahe phir bhi hamein kisi se shikayat nahin rahi