zamin ke zarre zarre nala-o-fariyaad karte hain chale aao dar-o-diwar tum ko yaad karte hain maza aata hai kuchh un ko hamara dil dukhane mein kabhi hum nala karte hain kabhi fariyaad karte hain bata de ai nazar se dur rah kar ruthne wale kisi ki is tarah duniya-e-dil barbaad karte hain mariz-e-hijr ki baalin pe tum ek bar aa jate tumhaare chahne wale tumhin ko yaad karte hain zaban-e-be-zabani ki 'hayat' ab intiha ye hai hamein jis ne bhula dala use hum yaad karte hain