wo dil samo le jo daman mein kaenat ka karb utha saka na khud apne tasawwuraat ka karb nikalna khuld se aadam ka ban gaya kya chiz ye zindagi hai ki hai ek wardat ka karb andhere daste rahe shama jhilmilati rahi kahin to kah na saken zindagi ki raat ka karb panah ke liye khwabon ki god dhundhti hai hayat sah na saki apne tajrabaat ka karb bada ajib hai khud se ye marka apna kahan har ek se uttha shikast-e-zat ka karb hai intizar mein ek inqalab aakhir ke zamin liye hue kitne taghayyuraat ka karb ye jit kam hai ki gham ras aa gaya warna khushi khushi koi jhela hai apni mat ka karb simat ke ban gaya honton pe nala-e-sahari tamam din ki aziyyat tamam raat ka karb jigar-gudaz the 'hurmat' kuchh aur gham bhi magar mita gaya hamein auj-e-takhaiyyulat ka karb