chaal aisi wo shokh chalta hai hashr ka jis pe dam nikalta hai ashk-e-khun kyun na aankh se tapken dil ka arman yunhi nikalta hai saqiya ek jam ke chalte kitne pyason ka kaam chalta hai main kisi sarzamin ka qasd karun aasman sath sath chalta hai hae gardish wo chashm-e-saqi ki main ye samjha ki jam chalta hai sarw hai nam nakhl-e-ulfat ka phulta hai kabhi na phalta hai kya zamana bhi hai asir tera ki ishaare pe tere chalta hai tir dil ka na khinch rahne de lutf-e-sohbat hai ji bahalta hai sher-e-rangin na samjho un ko 'jalil' tuti-e-fikr lal ugalta hai