wo dushman-e-jaan jaan se pyara bhi kabhi tha ab kis se kahen koi hamara bhi kabhi tha utra hai rag-o-pai mein to dil kat sa gaya hai ye zahr-e-judai ki gawara bhi kabhi tha har dost jahan abr-e-gurezan ki tarah hai ye shahr kabhi shahr hamara bhi kabhi tha titli ke taaqub mein koi phul sa bachcha aisa hi koi khwab hamara bhi kabhi tha ab agle zamane ke milen log to puchhen jo haal hamara hai tumhaara bhi kabhi tha har bazm mein hum ne use afsurda hi dekha kahte hain 'faraaz' anjuman-ara bhi kabhi tha