wo ehtiyat ke mausam badal gae kaise charagh dil ke andhere mein jal gae kaise bana diya tha zamane ne barf ke manind hum ek shokh kiran se pighal gae kaise umid jin se thi waz-e-junun nibhane ki wo log waqt ke sanche mein dhal gae kaise sitare jazb hue gard-e-rah mein kya kya khayal-o-khwab ke aain badal gae kaise khizan se jin ko bacha lae the jatan kar ke wo nakhl ab ke bahaaron mein jal gae kaise na jaane kyun jinhen samjhe the hum farishte hain qarib aae to chehre badal gae kaise har ek saya-e-diwar ki lapet mein hai 'surur' aap hi bach kar nikal gae kaise