nigah-e-shauq tera haz uthana chahungi khayal-e-kham tujhe aazmana chahungi meri bhi mitti wahi hai ki jo chanab ki hai so jald-baz hun aur par jaana chahungi tumhaare ghar ko sajati agar sambhal pati bikhar gai hun to ab khak udana chahungi ghane darakht teri mehrban chhanw mein udas sham ka ek git gana chahungi agarche tark-e-talluq mein bhulna behtar magar main phir bhi tumhein yaad aana chahungi