wo ek fasana karungi zahir jo baat dil mein dabi hui hai

wo ek fasana karungi zahir jo baat dil mein dabi hui hai
qadam zamin par nahin hain mere mujhe mohabbat mili hui hai

suna hai jab se wo aa rahe hain falak hai daman bichhae baitha
faza bhi jaise mahak rahi hai hawa bhi kuchh kuchh thami hui hai

khuda gawah hai ki husn aisa kahin bhi hoga na is jahan mein
mere muqabil hue hain jab se nazar unhin par jami hui hai

jo un ko dekha to raaz jaana hai chand raushan unhin ke dam se
mite hain shab ke sabhi andhere ki raushni bhi tabhi hui hai

us ek pal jab kaha tha us ne main ja raha hun watan ko apne
thahar gaya hai ye waqt tab se zamin ki gardish ruki hui hai

wo aise shamil hua hai mujh mein ki mit gaya hai wajud mera
fana bhi us mein baqa bhi us mein usi mein 'kausar' basi hui hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close