ye hijr ye lamhe furqat ke is taur hamein tadpaen to is aag mein jalte jalte hum ai yar kahin jal jaen to kaisa hai takalluf mahfil mein aate bhi nahin jate bhi nahin hum aas lagae baithe hain parda wo zara sarkaen to ummid-ba-dil rindan-e-talab hathon mein piyala thame hain maikhane mein un ke mar jaen wo aankh se mai barsaen to khamosh hai bulbul gulshan mein hai baad-e-bahaari bhi sakit jumbish to karen lab un ke zara khalwat se wo kuchh farmaen to aksar hi tasawwur karte hain is raat ka aalam kya hoga aahat na karen wo chupke se pahlu mein mere aa jaen to teri hi badaulat to apni raaton ka sukun barbaad hua aise mein tujhe hum jazba-e-dil ghabra ke agar dafnaen to kis ko hai khabar is duniya mein 'kausar' hai kahan jannat hai kahan duniya ke ye rahbar aa ke zara ye raaz hamein samjhaen to