wo ek hasin hadisa jo hote hote tal gaya hamari zindagi ke sab usul hi badal gaya faza-e-sazgar se na thi gharaz bahaar se babul ki tarah tha main kahin bhi phul phal gaya hazar ho kisi se ishq lakh hon aqidaten magar kisi ke aastan pe kaun sar ke bal gaya bhala ye meri tishnagi na aur kyon bhadak uthe ki aaya mere hath mein to jam hi pighal gaya pahunch chuka tha main bahut qarib apne khwab ke magar main sochta raha raqib chaal chal gaya main jis ke intizar mein tha wo kahin wahi na ho nazar bacha ke jo abhi qarib se nikal gaya tapak rahi thi 'ambar' us ki shakl se farishtagi magar wo sare shahr ko buri tarah se chhal gaya