ye ehsas behad khajil kar raha hai karam mujh par ek sang-dil kar raha hai bharosa hai behad tabhi yar mera mujhe apne gham muntaqil kar raha hai kisi aur mein hai kahan itni jurat main wo kar raha hun jo dil kar raha hai bade sard-o-garm aae haalat lekin mera chehra har rut mein khil kar raha hai tujhe ai meri zindagi hai khabar kya taaqub koi mustaqil kar raha hai koi rae us par karun kaise qaem hamesha jo honton ko sil kar raha hai mujhe bhej kar tohfa-e-gul wo 'ambar' ajab dhang se mushtail kar raha hai