wo ek lafz jo be-sada jaega wahi muddaton tak suna jaega koi hai jo mere taaqub mein hai mujhe mera chehra dikha jaega wo ek shakhs jo dushman-e-jaan sahi magar phir bhi apna kaha jaega jalegi koi mishal-e-jaan abhi magar phir andhera sa chha jaega nafi-e-jurat-e-haq-numai sahi magar kab kisi se kaha jaega yahan ek shajar muntazir sa bhi hai ab aakhir kahan tak chala jaega main wo mishal-e-nim-shab hun 'amir' jise kal ka suraj bujha jaega