wo log hi har daur mein mahbub rahe hain jo ishq mein talib nahin matlub rahe hain tufan ki aawaz to aati nahin lekin lagta hai safine se kahin dub rahe hain un ko na pukaro gham-e-dauran ke laqab se jo dard kisi nam se mansub rahe hain hum bhi teri surat ke parastar hain lekin kuchh aur bhi chehre hamein marghub rahe hain alfaz mein izhaar-e-mohabbat ke tariqe khud ishq ki nazron mein bhi mayub rahe hain is ahd-e-basirat mein bhi naqqad hamare har ek bade nam se marub rahe hain itna bhi na ghabrao nai tarz-e-ada se har daur mein badle hue uslub rahe hain