wo ek lamha jo tark-e-talluqat ka tha phir us ke baad kahan koi pal hayat ka tha jo masala tha wo baham zaruriyat ka tha mere farar ka aur aap ki najat ka tha zaban hijab ki lahja takallufat ka tha labon ke bich mein parda mukalamat ka tha wo ek phul jo nazuk tha sare phulon mein usi pe mujh ko guman pattharon ki zat ka tha larazte kanpte se lab jhuki jhuki si nazar haya to aaj ki thi zikr kal ki raat ka tha kisi ke dil ka janaza utha tha basti se yun qafila to kisi lautti baraat ka tha